Ek Maa ka Dar..
Dar lagta hai???
Jab ye mera nanha sa jaan bada hoga..
Bada hokar mard Banega..
Mard bankar kisika dard ka karan Banega..
Abhi jo ro kar maa kehkar pukarta hai..
Kya mard bankar, ese hi pukarega..
Maa k bina jise nind nahi ati..
Kya mard bankar, apni maa ko yaad karega..
Ye nanha sa jaan ,
Dilko Rahat deti he jo iski muskan..
Abhi klie ya kal bhi yahi rahega..
Sawal kai hai..
Magar Jawab ki fikr aj se hai..
Mard ban kar pathhar dil to na Banega..
Pyar to bhara mene iske andar..
Dular to kia hai mene khud ko bhulakar..
Mard ban kar bhula to na dega..
Accha bura sab sikhaun main..
Kya Phir v? sikayat mujhse karega…
Ye komal sa phul..
Kisi k jindegi ka bura sapna to na Banega..
Ab jo sunta hai dhyan lagakar..
Muskurata hai phir wo isse pyar samajhkar..
Kya wo sunega ,mard bankar..
Dar lagta hai,
Kahin kisiki dard na bane wo jan bujhkar..
Galti se v hojae agar..
To mafi mangle thoda soch samajhkar..
Sahi galat sab sikhaun main..
Bas khada rahein wo kisika himmat bankar..
Na bahe wo kisik ankhon ka ansun bankar..
Ye dar hai bas..
Jo lagraha hai bas aj kal k mardon ko dekhkar..
Ye mard bejuban hi sahi..
Warna dil tutjata inke kadwi bolisunkar.
Kal kuchh v ho..,
Magar,Iss nahne jaan ko bada humkarenge sach ko sach aur jhut ko jhut dikhakar..
Uske baton me mithas gholkar,
Dudh me pilaun sachai ka amrut bharkar..
K Sare jeher abhise dar jae,Iss amrutko dekhkar..
K apne sabdo k amrutse dil jitkar..
K dunia k kadwahatse khud ko dur rakhkar..
Dikhade duniako iss maa k parwarish ka naam roshan kar..
Bhagwat geeta aur Naam sankirtan kar..
Is duniako ,Sukun se jindegi jineka tarika dikhakar..
Dikhade duniako iss maa k parwarish ka naam roshan kar..
Mitade iss maak dar ko agge jakar..
Khud v har dar se jeet pae mard bankar…
?
Sahi kaha na….
?
?
?
?
?
?
?
?